Wednesday, August 31, 2011

Yarana

Aaj har beete huye pal ka
fasana likh rha hun
har masti me dube kal ka
shamyana likh rha hun
kaise beet gyi ye duniya
bas kuchh hi lamho me
Aaj is kalam se un lamho me bsa
dostana likh rha hun

Man ki chahat hai aaj ye,
gujarta waqt thoda tham jaye
ye sunahre pal
yadein banne me thoda waqt lagaye||

magar hai jor kiska lamho pr,
har pahar hi beet jata hai
sma jati h yadon me
beete palo me basi wo batein 
waqt ke panne palatne pr
Jo yaad aatein h

Maayne dosti ke
mai janta to bahut tha
Tajurba dosti ka
ab ehsaso me hai

zindagi jaisi bhi ho - jahan b ho
gar badal jaye ye zamana
lekin in lamho me bsa
hmesha yaad rhega ye yarana||

No comments:

Post a Comment