Friday, September 15, 2017

Alaap

Ek uljhan hai,
Sulajhati hi nhi
Koi baat hai,
Nikalti hi nhi

Jab kabhi koshis,
Ki hai maine
sab samjhate hain,
kabhi samjhte nhi

Justju hai mujhe
bas us ek lamhe ki,
Jiske galiche me mai
apne dabe labj bikhara du

Ittifaqan hi sahi
Kisi ki nazre pad jaye un pr
Ek mukalma to ibtida ho unse
Mukammal afsana aap hi ram jayega!

Thursday, August 24, 2017

Guldasta

Aye dost tu samajh meri chahat ko jra,
dewaana hun tera teri aashiqui ko tarasta hun,

ehasaaso ki tajalli tak der se pahucha hun,
dewaana hun tera teri mohabbat ki aarzu krta hun,

Tu hai khush apne aalam me, mai bhi ye samajhta hun,
dewaana hun tera teri sohbat ko tamanna krta hun,

Tere rubaru rhu har lamha Mai,
dewaana hun tera deedar ki betabi me tadapta hun,

Mere tasavuur me maine apna bna liya hai tujhko,
dewaana hun tera teri hi ibadat krta hun,    
                 
Aye dost tu samajh meri chahat ko jra,
dewaana hun tera teri aashiqui ko tarasta hun!