Saturday, December 7, 2013

Khatta-Meetha

Beete pal ki yaadein,
Jab bhi palko pr aati hain,
meethe shahad aur kadwe neem,
dono ka swad chakhaati hain |

Kuchh yaadon se aankhon ke,
galiyare bhar aate hain,
jav wo beete huye drishya,
hume kal ki kahani sunate hain |

Shitheel ho ham un lamho mein,
khud ka abhinay nihaarate hain,
aur jo the hum-raahi humare,
unhe soch bechain ho jate hain |

Man gujarish karta hai,
phir se kyon na laut chale,
un na-samajhi se likhe panno me,
jiske kalam ki syahi
ab sookh chuki hai ||



Wednesday, April 24, 2013

Ae dil tu himmat na haar

Ae dil tu himmat na haar.

Uljhano ki dhundh mein,
Tu dhairya ko bna Aujaar,
En Oojhal rahon par,
Sun aane wala kal,
Rha h pukaar,

Ae dil tu himmat na haar.

Tark-Vitark mein,
Tu samay na dekh,
Dishaon ke sandarbh mein,
Tu chhor apna vivek,
Isi lay ki raftaar se,
Tu ho jayega paar,

Ae dil tu himmat na haar.