Saturday, December 7, 2013

Khatta-Meetha

Beete pal ki yaadein,
Jab bhi palko pr aati hain,
meethe shahad aur kadwe neem,
dono ka swad chakhaati hain |

Kuchh yaadon se aankhon ke,
galiyare bhar aate hain,
jav wo beete huye drishya,
hume kal ki kahani sunate hain |

Shitheel ho ham un lamho mein,
khud ka abhinay nihaarate hain,
aur jo the hum-raahi humare,
unhe soch bechain ho jate hain |

Man gujarish karta hai,
phir se kyon na laut chale,
un na-samajhi se likhe panno me,
jiske kalam ki syahi
ab sookh chuki hai ||